kaif nasib ab kahan ghunchon ke bhi jamal mein
kis ne ye rang bhar diya sadgi-e-KHayal mein
qatra-e-shabnam-e-haya ghuncha-o-gul araq araq
kya kya simaT ke aa gaya daman-e-infial mein
jurat-e-iztirab-e-dil tu ne bata ye kya kiya
un ki bhi baat aa gai koshish-e-arz-e-haal mein
kaisi hadish-e-rang-o-bu zikr-e-jamal-o-nur kya
husn hi jab na aa saka daira-e-KHyal mein
ishq hi KHud hai ek jahan rasm-e-quyud se alag
ishq si koi shai nahin daman-e-mah-o-sal mein
nashtar-e-gham se kam nahin meri asar-paziriyan
der lagegi ab zara zaKHm ke indimal mein
jaan-e-hazin nahin faqat mahw-e-fughan-e-arzu
raunda hua sa dil bhi hai hasrat-e-paemal mein
hijr-o-visal-o-ranj-o-gham hasrat-o-yas-o-arzu
har shai ubhar ke aa gai mubham se ek sawal mein

Ghazal
Kaif nasib ab kahan ghunchon ke bhi jamal mein
Raza Jaunpuri