kaif jo ruh pe tari hai tujhe kya malum 
umr aankhon mein guzari hai tujhe kya malum 
nigah-e-awwal-e-bebak ne mere dil par 
teri taswir utari hai tujhe kya malum 
mehr ya qahr tere chahne wale ke liye 
har ada jaan se pyari hai tujhe kya malum 
waqt kaTta hi nahin subh-e-masarrat aa ja 
raat bimar pe bhaari hai tujhe kya malum 
ek muddat se yahan umr-e-rawan tere baghair 
waqf-e-alam-shumari hai tujhe kya malum 
KHanda-zan surat-e-gul daman-e-sad-chaak mera 
parcham-e-fasl-e-bahaari hai tujhe kya malum 
gul-e-nau-KHasta kanTon ko haqarat se na dekh 
kis ki taqdir mein KHwari hai tujhe kya malum 
'wajd' na-paidi-e-ehsas-e-masarrat ka sabab 
aadat-e-girya-o-zari hai tujhe kya malum
        Ghazal
Kaif jo ruh pe tari hai tujhe kya malum
Sikandar Ali Wajd

