kaif-e-ada bhi hai nigah-e-pur-fitan ke sath
lagti hai dil pe choT magar bankpan ke sath
KHunki hai chandni mein tamazat hai dhup mein
tashbih kis ko den tere nur-e-badan ke sath
sar de ke surKH-ru the kabhi bandagan-e-ishq
rasm-e-kohan thi KHatm hui kohkan ke sath
ek maslahat ki mohr hai lab par lagi hui
warna hazar shikwe hain ahl-e-watan ke sath
wo sher-e-naghz kyun na ho juzw-e-rag-e-hayat
kuchh fikr ka rachaw bhi jis mein ho fan ke sath
Ghazal
Kaif-e-ada bhi hai nigah-e-pur-fitan ke sath
Manzoor Ahmad Manzoor