kahun kya iztirab-e-dil zaban se
rahe jate hain sab pahlu bayan se
unhen chahka raha hun chand kah kar
ewaz lena hai mujh ko aasman se
hum aise na-tawan wo aise nazuk
uThae kaun parda darmiyan se
shamim-e-gul ne baDh kar haal mara
qadam bahar jo rakkha aashiyan se
taDap meri taraqqi kar rahi hai
zamin Takra na jae aasman se
KHuda rakkhe chaman ka phul ho tum
hanso khelo nasim-e-bostan se
nigah-e-gul se bulbul yun giri hai
gire jis tarah tinka aashiyan se
zamin-e-sher hum karte hain aabaad
chale aate hain mazmun aasman se
baDa langar tha sher-o-shaeri ka
uTha kyun-kar 'jalil' na-tawan se

Ghazal
Kahun kya iztirab-e-dil zaban se
Jaleel Manikpuri