kahun jo karb faqat karb-e-zat samjhoge
magar kabhi to meri nafsiyat samjhoge
ye umr jao bhi do chaar din ki kya hai bisat
abhi kahan se gham-e-kaenat samjhoge
mera wajud sila hai meri shikaston ka
bigaD bigaD ke banoge to baat samjhoge
abhi to jumbish-e-lab par hazar pahre hain
jo lab khule bhi to kya dil ki baat samjhoge
idhar na aao ab is shahar mein ujalon ke
wo tirgi hai ki din ko bhi raat samjhoge
Ghazal
Kahun jo karb faqat karb-e-zat samjhoge
Aftab Arif