kahti hai namaz-e-subh ki bang
uTh subh hui hai kuchh dua mang
dekha main chahaar dang-e-alam
par hath laga na kuchh bhi ek dang
simin badan us ka chandni mein
Darta hun pighal na jawe jun rang
TuTa jo hamara shisha-e-dil
pahunchegi falak tak us ki gul-bang
bahrup hai ye jahan ki jis mein
har roz naya bane hai ek sang
karta hun sawal jis ke dar par
aati hai yahi sada ki phir mang
dilli mein paDen na kyun ke Dake
choron ki har ek ghar mein hai thang
ai shoKH ye KHun-e-'mushafi' hai
chal bach ke na aate jate yun lang
Ghazal
Kahti hai namaz-e-subh ki bang
Mushafi Ghulam Hamdani