kahte ho ab mere mazlum pe bedad na ho
sitam-ijad ho phir kyun sitam ijad na ho
nahin paiman-e-wafa tum ne nahin bandha tha
wo fasana hi ghalat hai jo tumhein yaad na ho
tum ne dil ko mere kuchh aisa kiya hai nashad
shad karna bhi jo ab chaho to ye shad na ho
jo giraftar tumhaara hai wahi hai aazad
jis ko aazad karo tum kabhi aazad na ho
mera maqsad ki wo KHush hon meri KHamoshi se
un ko andesha ki ye bhi koi fariyaad na ho
main na bhulun gham-e-ishq ka ehsan 'wahshat'
un ko paiman-e-mohabbat jo nahin yaad na ho
Ghazal
Kahte ho ab mere mazlum pe bedad na ho
Wahshat Raza Ali Kalkatvi