kahte hain sun ke tazkire mujh gham-rasida ke
afsane kaun sunta hai haal-e-shunida ke
kya apni musht-e-KHak ki hum justuju karen
milte nahin nishan ghubar-e-parida ke
main KHak bhi hua na gai par kashidgi
ghusse wahi rahe mere daman-kashida ke
jo tum mein baat hai wo kisi aur mein kahan
jalwe kuchh aur hi hain gul-e-nau-damida ke
sailab-e-chashm-e-tar se zamana KHarab hai
shikwe kahan kahan hain mere aab-dida ke
kuchh intiha nahin hai kahan tak sunaiye
qisse daraaz hain dil-e-na-armida ke
qatre mile jo tere pasine ke gul-badan
KHwahan rahe na log gulab-e-chakida ke
aahon ki dhum hai kahin nalon ke gulgule
saman nae hain rose tere gham-kashida ke
aaram-gah-e-ashk hai viran ai junun
daman hain tar tar qaba-e-darida ke
o mast-e-naz kaif ye tere suKHan mein hai
dhoke kalam par hain sharab-e-chakida ke
lo aashiyan-e-tan ki taraf mel tak nahin
dekho mizaj tair-e-rang-parida ke
diwan mein wasf hai araq-e-jism-e-yar ka
mazmun kahan kahan hain gulab-e-chakida ke
mizhgan se bach 'nasim' ki abru ke pas hain
ye tir-e-be-KHata hain kaman-e-kashida ke
Ghazal
Kahte hain sun ke tazkire mujh gham-rasida ke
Naseem Dehlvi