kahte hain ki de meri bala dad kisi ki
kanon ko maza deti hai fariyaad kisi ki
rona hai tera kaam magar dida-e-tar dekh
taswir-e-KHyali na ho barbaad kisi ki
karta hun gila un se jo virani-e-dil ka
kahte hain ye basti nahin aabaad kisi ki
aabaad KHuda rakkhe tujhe ku-e-mohabbat
miTTi nahin hoti yahan barbaad kisi ki
kuchh aur to hum pas 'mubarak' nahin rakhte
rakhta hai tamanna dil-e-nashad kisi ki
Ghazal
Kahte hain ki de meri bala dad kisi ki
Mubarak Azimabadi