kahte hain jis ko 'nazir' suniye Tuk us ka bayan
tha wo moallim gharib buzdil o tarsanda-jaan
koi kitab is ke tain saf na thi dars ki
aae to mani kahe warna paDhai rawan
fahm na tha ilm se kuchh arabi ke use
farsi mein han magar samjhe tha kuchh in o aan
likhne ki ye tarz thi kuchh jo likhe tha kabhi
puKHtagi o KHami ke us ka tha KHat darmiyan
sher o ghazal ke siwa shauq na tha kuchh use
apne isi shaghl mein rahta tha KHush har zaman
sust rawish past qad sanwla hindi-nazhad
tan bhi kuchh aisa hi tha qad ke muafiq ayan
mathe pe ek KHal tha chhoTa sa masse ke taur
tha wo paDa aan kar abruon ke darmiyan
waza subuk us ki thi tis pe na rakhta tha rish
muchhain thin aur kanon par paTTe bhi the pumba-san
piri mein jaisi ki thi us ko dil-afsurdagi
waisi hi rahi thi un dinon jin dinon main tha jawan
jitne gharaz kaam hain aur paDhane siwa
chahiye kuchh us se hon utni liyaqat kahan
fazl ne allah ke us ko diya umr bhar
izzat-o-hurmat ke sath parcha o aab-o-nan
Ghazal
Kahte hain jis ko nazir suniye Tuk us ka bayan
Nazeer Akbarabadi