kahte hain id hai aaj apni bhi id hoti
hum ko agar mayassar jaanan ki did hoti
qimat mein did-e-ruKH ki hum naqd-e-jaan lagate
bazar-e-naz lagta dil ki KHarid hoti
kuchh apni baat kahte kuchh mera haal sunet
naz-o-niyaz ki yun guft-o-shunid hoti
jalwe dikhate jate wo tarz-e-dilbari ke
aur dil mein yan hawa-e-naz-e-mazid hoti
tegh-e-nazar se dil par wo war karte jate
aur lab pe yan sada-e-hal-mim-mazid hoti
abru se un ke ghamza tir-e-ada lagata
ye dil qatil hota ye jaan shahid hoti
kuchh hausla baDhata andaz-e-lutf-e-jaanan
kuchh daghdagha sa hota kuchh kuchh umid hoti
Ghazal
Kahte hain id hai aaj apni bhi id hoti
Ghulam Bhik Nairang