kahte hain azal jis ko us se bhi kahin pahle
iman mohabbat par lae the hamin pahle
asrar-e-KHud-agahi diwane samajhte hain
takmil-e-junun aaKHir meraj-e-yaqin pahle
chamka diya sajdon ne naqsh-e-kaf-e-pa lekin
raushan to na thi itni ye meri jabin pahle
har bar ye rah rah kar hota hai guman mujh ko
shayad tere jalwon ko dekha tha kahin pahle
ye baat alag Thahri ab hum ko na pahchanen
mahfil mein magar un ki aae the hamin pahle
ye raaz-e-mohabbat hai samjhega zamana kya
tum hasil-e-din aaKHir ghaarat-gar-e-din pahle
is kar-e-numayan ke shahid hain chaman wale
gulshan mein bahaaron ko lae the hamin pahle
taqdir ki muKHtari 'unwan' musallam hai
hoti hai mohabbat bhi majbur yahin pahle
Ghazal
Kahte hain azal jis ko us se bhi kahin pahle
Unwan Chishti