kahta na tha main ai dil tu us se ji laga na
us ka to kya gaya ab tera hi ji gaya na
sau bar main ne jhanka chilman se us ko lekin
itna kaha na us ne kya dekhta hai aa na
main KHub ro chuka hun zalim bas aur mujh ko
aazurdagi ki baaten kah kah ke tu rula na
jate hi yar ke tu kahta tha mar rahunga
waqt-e-widaa ai dil aaKHir tu mar gaya na
kal main ne hanste hanste puchha ki koi dam yan
farmaiye to main bhi baiTha rahun ki ya na
tewri chaDha ke bola chal chal KHabar le apni
ji lag raha hai tera jidhar tu apne ja na
kahta na tha ki har dam us ki gali mein mat ja
is baat ka ab aaKHir charcha 'hasan' hua na
Ghazal
Kahta na tha main ai dil tu us se ji laga na
Meer Hasan