kaho tum kis sabab ruThe ho pyare be-gunah hum sin
churane kyun lagi hain yun teri ankhiyan nigah hum sin
iti na-mehrbani kyun kari nahaq gharibon par
kiya kya hum nin zalim apne ji ki baat kah hum sin
kya tha naqd-e-jaan apna nisar is waste tum par
ki be-taqsir yun dil mein rakhoge tum girah hum sin
taghaful chhuDna zalim be-takalluf ho sitam mat kar
kapaT ki aashnai ye nahin sakti nibah hum sin
tumhaari tarah milna chhoD kar bedard ho rahna
kaho kyun-kar ye sakta hai jite jiyo ye gunah hum sin
lage hain ghair-farzin ki tarah mil kaj-rawi karne
hamesha jo ki kha jate hain sab baaton mein shah hum sin
main apni jaan sin hazir hun lekin 'abru' to rakh
KHuda ke waste ita bhi rukha tu na rah hum sin
Ghazal
Kaho tum kis sabab ruThe ho pyare be-gunah hum sin
Abroo Shah Mubarak