اردو हिंदी
Kaho ki tur pe jalta rahe charagh abhi | Shaahi Shayari
kaho ki tur pe jalta rahe charagh abhi

Ghazal

Kaho ki tur pe jalta rahe charagh abhi

Syed Mazhar Gilani

;

kaho ki tur pe jalta rahe charagh abhi
mujhe sharab se hasil nahin faragh abhi

abhi to baada-parasti meri shabab pe hai
rawish rawish hai mere dam se bagh bagh abhi

jo subh-e-wasl tere gesuon se Tapki thi
mahak raha hai usi bagh se dimagh abhi

qayam-e-hashr zara aur multawi kar do
ki mai-kade mein khanakte hain kuchh ayagh abhi

abhi jahannam-e-duniya mein aur jalne do
meri jabin-e-baghawat hai dagh dagh abhi

nahin hai fursat-e-tauba sharab se 'mazhar'
ki faiz-e-yar se labrez hai ayagh abhi