kahni hai ek baat dil-e-shad-kaam se
tang aa gaya hun yar mohabbat ke nam se
main hun ki mujh ko dida-e-bina ka rog hai
aur log hain ki kaam unhen apne kaam se
ushshaq hain ki marne ki lazzat se hain niDhaal
shamshir hai ki nikli nahin hai niyam se
jab us ne ja ke pahlu-e-gul mein nashist ki
baad-e-saba bichhaD gai apne KHiram se
wahshat ek aur hai mujhe hijrat se bhi siwa
ham-KHana mutmain nahin mere qayam se
Ghazal
Kahni hai ek baat dil-e-shad-kaam se
Jamal Ehsani