kahne us shoKH se dil ka jo main ahwal gaya
wan na tafsil gai pesh na ijmal gaya
dam-e-kakul se gila kya ye jo hai tair-e-dil
aap apne ye phansane ko par-o-baal gaya
dil-e-be-tab ki kya jaane hui kya surat
pichhe us shoKH sitam-gar ke jo filhaal gaya
le gaya sath laga wo but-e-qatil ghar tak
ya use mar ke raste mein kahin Dal gaya
KHair wo haal hua ya ye hui shakl 'nazir'
kuchh tassuf na karo jaane do janjal gaya
Ghazal
Kahne us shoKH se dil ka jo main ahwal gaya
Nazeer Akbarabadi