kahne sunne ka ajab donon taraf josh raha
shahr ki baaton pe sahra hama-tan-gosh raha
aankhon aankhon mein wazahat se hua kin baaten
chup na mahfil mein wo baiTha na main KHamosh raha
rakh diya waqt ne aaina bana kar mujh ko
ru-ba-ru hote hue bhi main faramosh raha
muddaton baad naqab us ne uThai ruKH se
sar-ba-sar shoala wo nikla jo siyah-posh raha
Thahra izhaar ki hasrat ko chhupana mushkil
ban gaya bolti taswir jo KHamosh raha
dhup ki thi jahan faslon ko zarurat 'rahi'
baadalon mein wahin suraj kahin ru-posh raha
Ghazal
Kahne sunne ka ajab donon taraf josh raha
Ghulam Murtaza Rahi