kahne ko to kya kya na dil-e-zar mein aae
har baat kahan qalib-e-izhaar mein aae
nazdik jo pahunche to wo aahon ka dhuan tha
kahne ko to hum saya-e-diwar mein aae
har mauja-e-KHun sar se guzar jae to achchha
har phul mere halqa-e-dastar mein aae
hum apni salibon ki hifazat mein khaDe hain
ab jo bhi shikan gesu-e-dil-dar mein aae
panw mein agar tauq-o-salasil hain to kya gham
ai ham-safaro farq na raftar mein aae
ek umr bhaTakte hue guzri hai junun mein
ab kaun fareb-e-nigah-e-yar mein aae
ai kash kabhi us ka idhar se bhi guzar ho
ek din to saba lauT ke gulzar mein aae
jachte bhi to kya chashm-e-KHaridar mein 'tahir'
hum kaun se yusuf the jo bazar mein aae

Ghazal
Kahne ko to kya kya na dil-e-zar mein aae
Jafar Tahir