اردو हिंदी
Kahne ko sab fasana-e-ghaib-o-shuhud tha | Shaahi Shayari
kahne ko sab fasana-e-ghaib-o-shuhud tha

Ghazal

Kahne ko sab fasana-e-ghaib-o-shuhud tha

Ravish Siddiqi

;

kahne ko sab fasana-e-ghaib-o-shuhud tha
dar-parda istiara-e-shauq-o-numud tha

samjha na bul-hawas kise kahte hain intizar
nadan asir-e-kasmakash-e-der-o-zud tha

kya aashiqi mein hausla-e-marg-o-zindagi
KHwab o KHayal marhala-e-hast-o-bud tha

socha tha mai-kada hi sahi gosha-e-najat
dekha to ek hujum-e-rusum-o-qayud tha

jaan shad-kaam-e-bosa-e-pa-e-sanam hui
kitna buland tala-e-zauq-e-sujud tha

ye ishq tha ki jis ne diya rang-e-shola-tab
aalam tamam naqsh-e-sukut-o-jumud tha

ai dost ab wo daur-e-tammul guzar chuka
jab daman-e-nazar pe ghubar-e-hudud tha

shab hum ghazal-sara the 'rawish' bazm-e-naz mein
sham-e-adab-shanas ke lab par durud tha