اردو हिंदी
Kahne aae the kuchh kaha hi nahin | Shaahi Shayari
kahne aae the kuchh kaha hi nahin

Ghazal

Kahne aae the kuchh kaha hi nahin

Asghar Velori

;

kahne aae the kuchh kaha hi nahin
chal diye jaise kuchh suna hi nahin

is qadar zulm ibn-e-adam par
jaise us ka koi KHuda hi nahin

hum jama kar nigah baiThe hain
apni qismat ka dar khula hi nahin

fikr aaghaz hi ki hai sab ko
koi anjam sochta hi nahin

tere maqtal mein aa gae aaKHir
aur kuchh hum ko rasta hi nahin

wo tere naqsh-e-pa ko kya samjhe
jis ka sajde mein sar jhuka hi nahin

tu kitabon mein DhunDhta kya hai
ishq ki chaara-gar dawa hi nahin

jis ko sine se hum laga lete
hum ko aisa koi mila hi nahin

aur ab ji ke kya karen 'asghar'
ab to jine mein kuchh maza hi nahin