kahna hi mera kya hai ki main kuchh nahin kahta
ye bhi tumhein dhoka hai ki main kuchh nahin kahta
ye baat ki kahna hai mujhe tum se bahut kuchh
is baat se paida hai ki main kuchh nahin kahta
apni hi kahe jata hai ai naseh-e-na-faham
tu kuchh nahin sunta hai ki main kuchh nahin kahta
rahta hai wo but shikwa-e-aghyar pe KHamosh
kahta hai to kahta hai ki main kuchh nahin kahta
kahlao na kuchh ghair ki tarif mein mujh se
samjho to ye thoDa hai ki main kuchh nahin kahta
kahne ka to apne hai 'wafa' aap bhi qael
kahne ko ye kahta hai ki main kuchh nahin kahta
Ghazal
Kahna hi mera kya hai ki main kuchh nahin kahta
Mela Ram Wafa