kahiye kya aur faisle ki baat
wasl hai ek muamle ki baat
us ke kuche mein lakh sar-gardan
ek yusuf ke qafile ki baat
gesu-e-hur aur zahid bas
zikr-e-kakul hai silsile ki baat
ghair se hum ko rashk-e-sall-e-ala
kahiye kuchh apne hausle ki baat
ek aalam ko kar diya pamal
ye bhi hai koi mashghale ki baat
kya bigaDna unhen nahin aata
sulh bhi hai mujadale ki baat
dekh kya kahte hain KHuda se hum
ek zara hai muqable ki baat
is qadar aur qarib-e-KHatir tu
aql se hai ye fasle ki baat
dawar-e-hashr se bhi haal kaha
nahin rukti kahin gile ki baat
na chale panw aur na sar hi chale
be-sar-o-pa hai aable ki baat
koi mazmun kabhi na pesh aaya
sher mein ki hai phir sile ki baat
ham-nashin arsh hil gaya shab-e-hijr
puchh mat ji ke zalzale ki baat
ai qalaq dil ko soch kar dena
kuchh nahin Thik walwale ki baat
Ghazal
Kahiye kya aur faisle ki baat
Ghulam Maula Qalaq