اردو हिंदी
Kahiye kis darja wo KHurshid-jamal achchha hai | Shaahi Shayari
kahiye kis darja wo KHurshid-jamal achchha hai

Ghazal

Kahiye kis darja wo KHurshid-jamal achchha hai

Mohammad Abdul Hameed Siddiqi Nazar Lakhnawi

;

kahiye kis darja wo KHurshid-jamal achchha hai
muKHtasar ye ki wo aap apni misal achchha hai

dusron ke dil-e-nazuk ka KHayal achchha hai
koi puchhe to main kah deta hun haal achchha hai

aae din ki to nahin Thik junun-KHezi-e-dil
mausam-e-gul to ye bas sal-ba-sal achchha hai

mujh ko kafi hai main samjhunga use husn-e-jawab
bas wo farma den ki sail ka sawal achchha hai

ye jo bigDa teri taqdir bigaD jaegi
dil hai dil ye ise jitna bhi sambhaal achchha hai

is se zail ho 'nazar' us se ho dil tak raushan
ru-e-KHurshid se wo ru-e-jamal achchha hai