kahin ye lamha-e-maujud wahima hi na ho
jo ho raha hai ye sab pahle ho chuka hi na ho
wo sadma jis ke sabab main hun sar-ba-zanu abhi
ajab nahin meri danist mein hua hi na ho
tere ghayab mein jo kuchh kiya hikayat main
kahin wo gufta o na-gufta se siwa hi na ho
kalam karti hui lahren chup na hon mere baad
mere liye kahin pani ruka hua hi na ho
guzarti sham daraKHt aabju sukut aur main
suKHan-misal ye manzar bhi gunjta hi na ho
ye kya ki main naya chehra liye uThun har roz
ye kya ki 'turk' mera KHwab TuTta hi na ho
Ghazal
Kahin ye lamha-e-maujud wahima hi na ho
Zia-ul-Mustafa Turk