kahin ye dard ka dhaga bhi yun sulajhta hai
girah jo kholen to dil aur bhi ulajhta hai
wo ek baat jo dil mein hai mere us ke liye
zaban se kahta nahin wo magar samajhta hai
main teri aankhon ki ye pyas kis tarah dekhun
mere wajud mein baadal koi garajta hai
ajib chiz hai ye KHubi-e-KHutut-e-badan
koi libas ho us ke badan pe sajta hai
ye raat aur ye Dasti hui si tanhai
lahu ka saz 'qamar' tan-badan mein bajta hai

Ghazal
Kahin ye dard ka dhaga bhi yun sulajhta hai
Qamar Iqbal