اردو हिंदी
Kahin yaqin se na ho jaen hum guman ki tarah | Shaahi Shayari
kahin yaqin se na ho jaen hum guman ki tarah

Ghazal

Kahin yaqin se na ho jaen hum guman ki tarah

Farah iqbal

;

kahin yaqin se na ho jaen hum guman ki tarah
sambhaal kar hamein rakhiye mata-e-jaan ki tarah

jise sadaf ki tarah aankh mein chhupaya tha
wo kho na jae kahin ashk-e-raegan ki tarah

hamein bhi KHauf-e-talatum ne gher rakha tha
khula nahin tha abhi wo bhi baadban ki tarah

nisab-e-ishq mein sare sawal mushkil the
mohabbaten bhi thin darpesh imtihan ki tarah

khule jo lab to unhi aainon mein hairat thi
jo dekhte the hamein aks-e-be-zaban ki tarah

jahan mili thin kabhi KHushbuen hawaon se
mahak raha tha wo jangal bhi gulistan ki tarah

hunar-wari hai hamari ki apne KHwabon se
qafas bhi hum ne sajaya tha aashiyan ki tarah