kahin wo chehra-e-zeba nazar nahin aaya
gaya wo shaKHs to phir lauT kar nahin aaya
kahun to kis se kahun aa ke ab sar-e-manzil
safar tamam hua ham-safar nahin aaya
main wo musafir-e-dasht-e-gham-e-mohabbat hun
jo ghar pahunch ke bhi soche ki ghar nahin aaya
saba ne fash kiya raaz-e-bu-e-gesu-e-yar
ye jurm ahl-e-tamanna ke sar nahin aaya
kabhi koi tere wadon ka tazkira chheDe
to kya kahun ki koi nama-bar nahin aaya
phir ek KHwab-e-wafa bhar raha hai aankhon mein
ye rang hijr ki shab jag kar nahin aaya
mere lahu ko meri KHak-e-naguzir ko dekh
yunhi saliqa-e-arz-e-hunar nahin aaya
na jaane zabt ke hathon 'sahar' pe kya guzri
bahut dinon se wo aashufta-sar nahin aaya
Ghazal
Kahin wo chehra-e-zeba nazar nahin aaya
Sahar Ansari