kahin tum apni qismat ka likha tabdil kar lete
to shayad hum bhi apna rasta tabdil kar lete
agar hum waqai kam-hausla hote mohabbat mein
maraz baDhne se pahle hi dawa tabdil kar lete
tumhaare sath chalne par jo dil raazi nahin hota
bahut pahle hum apna faisla tabdil kar lete
tumhein in mausamon ki kya KHabar milti agar hum bhi
ghuTan ke KHauf se aab o hawa tabdil kar lete
tumhaari tarah jine ka hunar aata to phir shayad
makan apna wahi rakhte pata tabdil kar lete
wahi kirdar hain taza kahani mein jo pahle bhi
kabhi chehra kabhi apni qaba tabdil kar lete
judai bhi na hoti zindagi bhi sahl ho jati
jo hum ek dusre se masala tabdil kar lete
hamesha ki tarah is bar bhi hum bol uThe warna
gawahi dene wale waqia tabdil kar lete
bahut dhundla gaya yaadon ki rim-jhim mein dil-e-sada
wo mil jata to hum ye aaina tabdil kar lete
Ghazal
Kahin tum apni qismat ka likha tabdil kar lete
Saleem Kausar