اردو हिंदी
Kahin to rose hi mele kahin parcham ukhaDta hai | Shaahi Shayari
kahin to rose hi mele kahin parcham ukhaDta hai

Ghazal

Kahin to rose hi mele kahin parcham ukhaDta hai

Kirti Ratan Singh

;

kahin to rose hi mele kahin parcham ukhaDta hai
kahin KHushiyan hi KHushiyan hain kahin bas dam ukhaDta hai

nahin mumkin hai koi peD yun jaD chhoD de apni
agar ho jaegi miTTi zara bhi nam ukhaDta hai

karo koshish bhale hi lakh TuTe dil bachane ki
magar mausam wahi aa jae to har gham ukhaDta hai

agar chalna hai kanTon par to choTon ko rawan kar lo
diya ho lakh zaKHmon par bhale marham ukhaDta hai

main chhuti aasman ko hun baDha deti hun pengon ko
meri jab yaad mein bachpan ka wo mausam ukhaDta hai

kahan jaun main kya kar lun samajh mein kuchh nahin aata
zara si baat par jab bhi 'ratan' hamdam ukhaDta hai