kahin to phenk hi denge ye bar sanson ka
uThae bojh jo phirte hain yar sanson ka
ana ghurur takabbur hayat kuchh bhi nahin
ki sara khel hai pyare ye chaar sanson ka
chalo ye zindagi zinda-dili se jite hain
baDhega is tarah kuchh to waqar sanson ka
gulabi honT wo honTon pe rakh ke kahti thi
sada rahega ye tujh par KHumar sanson ka
baDe qarib se guzri hai maut chhu ke tujhe
jo ho sake koi sadqa utar sanson ka
hawa ye wajd mein aa kar diye se kahne lagi
ki ab tu sah nahin paega war sanson ka
hum is ko zindagi samjhen to kis tarah 'arshad'
kisi ke hath mein hai iKHtiyar sanson ka
Ghazal
Kahin to phenk hi denge ye bar sanson ka
Arshad Mahmood Arshad