اردو हिंदी
Kahin to luTna hai phir naqd-e-jaan bachana kya | Shaahi Shayari
kahin to luTna hai phir naqd-e-jaan bachana kya

Ghazal

Kahin to luTna hai phir naqd-e-jaan bachana kya

Irfan Siddiqi

;

kahin to luTna hai phir naqd-e-jaan bachana kya
ab aa gae hain to maqtal se bach ke jaana kya

in aandhiyon mein bhala kaun idhar se guzrega
dariche kholna kaisa diye jalana kya

jo tir buDhon ki fariyaad tak nahin sunte
to un ke samne bachchon ka muskurana kya

main gir gaya hun to ab sine se utar aao
diler dushmano TuTe makan ko Dhana kya

nai zamin ki hawaen bhi jaan-lewa hain
na lauTne ke liye kashtiyan jalana kya

kanar-e-ab khaDi khetiyan ye sochti hain
wo narm-rau hai nadi ka magar Thikana kya