kahin suraj kahin zarra chamakta hai
ishaare se tere kya kya chamakta hai
falak se jab nai kirnen utarti hain
guhar sa shabnami qatra chamakta hai
use duniya kabhi dariya nahin kahti
chamakne ko to har sahra chamakta hai
sitara to sitara hai mere bhai
kabhi tera kabhi mera chamakta hai
meri maili hatheli par to bachpan se
gharibi ka khara sona chamakta hai
mashaqqat ki badaulat hi jabinon par
pasine ka har ek qatra chamakta hai
qarine se tarasha hi na jae to
kisi pahlu kahan hira chamakta hai
ye kya turfa-tamasha hai siyasat ka
kahin KHanjar kahin neza chamakta hai
tasawwur mein 'faragh' aaThon pahar ab to
koi chehra ghazal jaisa chamakta hai
Ghazal
Kahin suraj kahin zarra chamakta hai
Faragh Rohvi