اردو हिंदी
Kahin shuur mein sadiyon ka KHauf zinda tha | Shaahi Shayari
kahin shuur mein sadiyon ka KHauf zinda tha

Ghazal

Kahin shuur mein sadiyon ka KHauf zinda tha

Tauqeer Taqi

;

kahin shuur mein sadiyon ka KHauf zinda tha
main shaKH-e-asr pe baiTha hua parinda tha

badan mein dil tha muallaq KHala mein nazren thin
magar kahin kahin sine mein dard zinda tha

phir ek raat mujhi par jhapaT paDa mera zabt
jise main pal raha tha koi darinda tha

KHushi ne hath baDhaya tha meri jaanib bhi
magar wahan jahan har shaKHs gham-kuninda tha

nabard-e-ishq mein kya kya jigar kiya 'tauqir'
hawa ka lams bhi jab intiqam-e-hinda tha