kahin shoala kahin shabnam, kahin KHushbu dil par
wo saman-bu hai bahar-rang bahar-su dil par
chaman-e-ruh se KHushbu-e-badan aati hai
jaan par mauja-e-lab nafha-e-gesu dil par
dil ko KHud hausla-e-kar-e-fusun-sazi hai
ki chala tha na chala hai koi jadu dil par
lazzat-e-did KHuda jaane kahan le jae
aankh hoti hai to hota nahin qabu dil par
ye tahayyur hai ki nazzara ki afsun-e-jamal
samne paikar-e-ahu ram-e-ahu dil par
is kashakash mein kahan jaan ke liye ja-e-aman
dil hai mehrab-e-haram main KHam-e-abru dil par
jaan tah-e-chashm ki yun sair-o-tamasha hi sahi
koi mahtab nazar mein koi mah-ru dil par

Ghazal
Kahin shoala kahin shabnam, kahin KHushbu dil par
Syed Amin Ashraf