kahin sharminda na ho rasm-e-wafa mere baad
mere mazi ko na do meri saza mere baad
aisa lagta hai ki sab KHun ke pyase hain yahan
hae is shahr ka kya haal hua mere baad
tishna-lab aur bhi aaenge yahan meri tarah
kaun dega unhen jine ki dua mere baad
mujh pe hi KHatm hua qahr zamane-bhar ka
phir kisi aur ka daman na jala mere baad
ek hi shab mein bane log masiha kitne
shahr mein phir koi qatil na raha mere baad
ab to apnon mein bhi agli si sharafat na rahi
rishta-e-mehr-o-wafa TuT gaya mere baad
ghaaliban main hi yahan lala-e-sahra tha 'rais'
phir na sahra mein koi phul khila mere baad

Ghazal
Kahin sharminda na ho rasm-e-wafa mere baad
Raees Akhtar