kahin shabnam kahin KHushbu kahin taza kali rakhna
purani Diary mein qaid kar ke zindagi rakhna
ghazal bhi roz bikti hai yahan bazar mein logo
hifazat mein nahin mumkin hai fann-e-shaeri rakhna
jo chaalaki se paDh loge to chehra sab bata dega
milao hath jab us se nazar chehre pe bhi rakhna
zara tum 'intizar'-e-KHasta-jaan ka hausla dekho
use bhata hai barish mein libas-e-kaghazi rakhna
Ghazal
Kahin shabnam kahin KHushbu kahin taza kali rakhna
Intizar Ghazipuri