kahin se nile kahin se kale paDe hue hain
hamare pairon mein kitne chhaale paDe hue hain
kahin to jhukna paDega nan-e-jawin ki KHatir
na jaane kis ke kahan niwale paDe hue hain
wo KHush-badan jis gali se guzra tha us gali mein
hum aaj bhi apna dil sambhaale paDe hue hain
hamari KHatir bhi fatiha ho barae-baKHshish
hum aap-apne pe KHak Dale paDe hue hain
shahid hain hum hamein kabhi raftagan na samjho
na jaane kab se ajal ko Tale paDe hue hain
kaho to de den hum aaj tum ko hisab-e-masti
ki hum ne jitne bhi jam uchhaale paDe hue hain
hamari aankhon mein jab se utra hai chand koi
hamari aankhon ke gard haale paDe hue hain
abhi to hum ne ye zindagi us ke nam ki hai
abhi to jaan ke kai izale paDe hue hain
yaqin nahin hai KHud apne hone ka hum ko warna
kai misalen kai hawale paDe hue hain
hamare kamre mein us ki yaaden nahin hain 'fazil'
kahin kitaben kahin risale paDe hue hain
Ghazal
Kahin se nile kahin se kale paDe hue hain
Fazil Jamili