kahin se lauT ke hum laDkhaDae hain kya kya
sitare zer-e-qadam raat aae hain kya kya
nasheb-e-hasti se afsos hum ubhar na sake
faraaz-e-dar se paigham aae hain kya kya
jab us ne haar ke KHanjar zamin pe phenk diya
tamam zaKHm-e-jigar muskurae hain kya kya
chhaTa jahan se us aawaz ka ghana baadal
wahin se dhup ne talwe jalae hain kya kya
uTha ke sar mujhe itna to dekh lene de
ki qatl-gah mein diwane aae hain kya kya
kahin andhere se manus ho na jae adab
charagh tez hawa ne bujhae hain kya kya
Ghazal
Kahin se lauT ke hum laDkhaDae hain kya kya
Kaifi Azmi