kahin se koi harf-e-mo'tabar shayad na aae
musafir lauT kar ab apne ghar shayad na aae
qafas mein aab-o-dane ki farawani bahut hai
asiron ko KHayal-e-baal-o-par shayad na aae
kise malum ahl-e-hijr par aise bhi din aaen
qayamat sar se guzre aur KHabar shayad na aae
jahan raaton ko paD rahte hon aankhen mund kar log
wahan mahtab mein chehra nazar shayad na aae
kabhi aisa bhi din nikle ki jab suraj ke hamrah
koi sahib-nazar aae magar shayad na aae
sabhi ko sahl-angari hunar lagne lagi hai
saron par ab ghubar-e-rahguzar shayad na aae
Ghazal
Kahin se koi harf-e-motabar shayad na aae
Iftikhar Arif