اردو हिंदी
Kahin se ghair jo pahlu mein aae baiThe hain | Shaahi Shayari
kahin se ghair jo pahlu mein aae baiThe hain

Ghazal

Kahin se ghair jo pahlu mein aae baiThe hain

Jitendra Mohan Sinha Rahbar

;

kahin se ghair jo pahlu mein aae baiThe hain
isi liye wo hamein yun bhulae baiThe hain

zara samajh ke karo hum se apne gham ka bayan
hum ek umr ke sadme uThae baiThe hain

kabhi KHayal mein apne mujhe nahin lae
wo muddaton se mere dil mein aae baiThe hain

kahan se loge wo surat wo kam-sini ka jamal
hum apne gosha-e-dil mein chhupae baiThe hain

KHuda ka shukr hai un ko KHayal to aaya
ki wo kisi ki nazar mein samae baiThe hain

dhara hi kya hai mohabbat mein be-kasi ke siwa
hum apne aap muqaddar banae baiThe hain

nigah-e-naz ke talib hain rahguzar mein teri
isi firaq mein dhuni ramae baiThe hain

kisi ko dekh liya tha kahin pe nadan ne
tabhi se KHud ko ye hazrat lubhae baiThe hain