kahin se bas nae mausamon ki lati hui
hawa-e-taza dar-e-nim-wa se aati hui
ba-taur-e-KHas kahan is taraf saba ka guzar
kabhi kabhi yunhi rukti hai aati jati hui
main apne dhyan mein gum tha aur ek saat-e-shoKH
guzar gai meri haalat pe muskuraati hui
lahu mein tairti KHamoshiyon ke sath kahin
bhaTak rahi hai koi chiKH sansanati hui
sarab-e-KHwahish-e-asudgi magar koi shai
mili nahin hai tabiat se mel khati hui
yahan wahan hain kai KHwab jagmagate hue
kahin kahin koi tabir TimTimati hui

Ghazal
Kahin se bas nae mausamon ki lati hui
Abid Syal