اردو हिंदी
Kahin se bas nae mausamon ki lati hui | Shaahi Shayari
kahin se bas nae mausamon ki lati hui

Ghazal

Kahin se bas nae mausamon ki lati hui

Abid Syal

;

kahin se bas nae mausamon ki lati hui
hawa-e-taza dar-e-nim-wa se aati hui

ba-taur-e-KHas kahan is nagar saba ka warud
kabhi kabhi yunhi rukti hai aati jati hui

main apne dhyan mein gum-sum aur ek saat-e-shoKH
guzar gai meri haalat pe muskuraati hui

sarab-e-KHwahish-e-asudgi magar koi shai
mili nahin hai tabiat se mel khati hui

lahu mein tairti KHamoshiyon ke sath kahin
rawan-dawan hai koi chiKH sansanati hui

yahan wahan hain kai KHwab jagmagate hue
kahin kahin koi tabir TimTimati hui