kahin se aaya tumhaara KHayal waise hi
ghazal ka hona hua hai kamal waise hi
hamare husn-e-nazar ka kamal kuchh bhi nahin
to kya tumhaara hai sara jamal waise hi
tera visal ki jis taur mere bas mein nahin
hua hai hijr mein jina muhaal waise hi
tera jawab mere kaam ka nahin hai ab
ki main to bhul chuka hun sawal waise hi
kaha ye kis ne ki ukta gaya junun se main
paDa hun dasht mein ab to niDhaal waise hi
uchhaalta hai jaziron ko jis tarah ai bahr
meri bhi lash ko tah se uchhaal waise hi
nikalta hai tu jis taur raat se suraj
hamari shab se hamein bhi nikal waise hi
Ghazal
Kahin se aaya tumhaara KHayal waise hi
Zubair Qaisar