اردو हिंदी
Kahin salib kahin karbala nazar aae | Shaahi Shayari
kahin salib kahin karbala nazar aae

Ghazal

Kahin salib kahin karbala nazar aae

Ameer Qazalbash

;

kahin salib kahin karbala nazar aae
jidhar nigah uThe zaKHm sa nazar aae

bujhi hai pyas zamin ki to ye tapish kyun hai
wo abr hai to barasta hua nazar aae

baja hai apni aqidat magar sawal ye hai
wo aadmi ho to kyunkar KHuda nazar aae

chalo ki gher len us ko lahu lahu chehre
har ek samt use aaina nazar aae

hamin ne tan se juda kar liya hai sar apna
bas ek hum the jo sab se juda nazar aae

kahan kahan abhi imkan-e-zindagi hai 'amir'
dhuan chhaTe to koi rasta nazar aae