kahin sahra mein jo dariya dekhen
hum bhi aaine mein chehra dekhen
hum mohabbat ke liye KHak uDaen
log galiyon mein tamasha dekhen
sabr aa jae agar apna ye haal
jin ki KHatir hai wo tanha dekhen
band aankhon mein baDi wusat hai
band aankhon hi se duniya dekhen
ghar hai mausam se bachana mushkil
jaanib-e-abr-o-hawa kya dekhen
itni diwar-e-gulistan na baDhao
ki bayaban mera rasta dekhen
ab yahi shakl-e-tamanna hai ki hum
umr bhar KHwab-e-tamanna dekhen
hum bashar hain na ki sahra ke shajar
jo sada apna hi saya dekhen
Ghazal
Kahin sahra mein jo dariya dekhen
Mahshar Badayuni