kahin saqi ka faiz-e-am bhi hai
kisi shishe pe mera nam bhi hai
wo chashm-e-mast mai bhi jam bhi hai
phire to gardish-e-ayyam bhi hai
nawa-e-chang o barbat sunne walo
pas-e-parda baDa kohram bhi hai
meri fard-e-junun pe ai bahaaro
gawahon mein KHizan ka nam bhi hai
na puchho bebasi us tishna-lab ki
ki jis ki dastaras mein jam bhi hai
mohabbat ki saza tark-e-mohabbat
mohabbat ka yahi inam bhi hai
nigah-e-shauq hai gustaKH lekin
nigah-e-shauq kuchh badnam bhi hai
nigahon ka tasadum kis ne dekha
magar ye raaz tasht az baam bhi hai

Ghazal
Kahin saqi ka faiz-e-am bhi hai
Wamiq Jaunpuri