kahin ruswa tera shaida sar-e-mahfil na ho jae
pareshani junun-e-ishq ka hasil na ho jae
abhi kuchh Thokaren khani hain tufan-e-hawadis mein
kahin kashti meri sharminda-e-sahil na ho jae
bikharte hain tere shanon pe gesu aaj bal kha kar
kahin barham ye meri kaenat-e-dil na ho jae
Tapakti hain KHiram-e-naz se ranginiyan sau sau
mujhe Dar hai ki ye duniya simaT kar dil na ho jae
qarar-e-iztirab-e-jaan-o-dil 'nayyar' usi se hai
pare gardan se meri KHanjar-e-qatil na ho jae
Ghazal
Kahin ruswa tera shaida sar-e-mahfil na ho jae
Nayyar Aasmi