kahin rukne lagi hai kashti-e-umr-e-rawan shayad
zamin chhune lagi hai ab ke hadd-e-asman shayad
mujhe us ne talab farmaya hai maidan-e-hasti se
use phir yaad aaya hai koi kar-e-jahan shayad
ubharti aa rahi hai ek duniya aur hi koi
makan ke sath milta ja raha hai la-makan shayad
badal dekhun charagh-e-shauq se main bhi charagh apna
mere ghar se nikal jae isi surat dhuan shayad
kiran Thahri nahin hai KHwab ke parde mein bhi aakar
khuli hi rah gai thin KHwab mein bhi khiDkiyan shayad
chalo main bhi koi sauda karun is bar-e-hasti ka
khuli ho baam-e-hast-o-bud par us ki dukan shayad
mere aur us ke bich ek dhund si maujud rahti hai
ye duniya aa rahi hai mere us ke darmiyan shayad
Ghazal
Kahin rukne lagi hai kashti-e-umr-e-rawan shayad
Khaavar Ejaz