kahin raaz-e-dil ab ayan ho na jae
nigah-e-mohabbat zaban ho na jae
wo kuchh mehrban se nazar aa rahe hain
kahin waqt na-mehrban ho na jae
chhupata to hun dil ki haalat ko lekin
kisi ki nazar raazdan ho na jae
koi pursish-e-haal ko aa raha hai
gham-e-arzu phir jawan ho na jae
zamane mein ab mere charche hain 'muztar'
meri zindagi dastan ho na jae
Ghazal
Kahin raaz-e-dil ab ayan ho na jae
Ram Krishn Muztar